Your Ad Here

Thursday, July 30, 2009

Gulshan Ki Faaqat Phoolon Se

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Gulshan Ki Faaqat Phoolon Se

LYRICS:
gulshan ki faqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai

ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai

wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN
khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai

karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo
fariyad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai

jo aake ruke daamal pe saba wo ashq nahiN hai paani hai
jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai

Baat Saqi Ki Na Taali Jaayegi

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Baat Saqi Ki Na Taali Jaayegi

LYRICS:
baat saaqi ki na Taali jaayegi
karke tauba toD daali jaayegi

dekh lena wo na khaali jaayegi
aah jo dil se nikaali jaayegi

gar yahi tarz-e-fugaN hai andali
to bhi gulshan se nikaali jaayegi

aate aate aayega unko khayaal
jaate jaate bekhayali jaayegi

kyoon nahiN milti gale se tegh-e-naaz
id kya ab ke bhi khaali jaayegi

Tera Chehra Kitna Suhana Lagta

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Tera Chehra Kitna Suhana Lagta

LYRICS:
tera chehra kita suhaana lagta hai
tere aage chaand puraana lagta hai

tirche-tirche teer nazar ke lagte haiN
seedha-seedha dil pe nishaana lagta hai

aag ka kya pal-do-pal meiN lagti hai
buJhte buJhte ek zamaana lagta hai

sach to ye hai phool ka dil bhee chalni hai
haNste haNste ek bahaana lagta hai

Monday, July 27, 2009

Chaand Se Phool Se Ya Meri Zuban

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Chand Se Phool Se Ya Meri Zuban

LYRICS:
Chaand se phool se ya meri zuban se suniye
Har taraf aap ka kissa jahan se suniye

Sab ko aata hai duniya ko sata kar jeena
Zindagi kya muhabbat ki dua se suniye

Meri aawaaz parda mere chehre ka
Main hoon khaamosh jahan mujhko wahan se suniye

Kya zaroori hai ki har parda uthaaya jaaye ?
Mere haalaat apne apne makaan se suniye!

Din Aa Gaye Shabab Ke

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Din Aa Gaye Shabab Ke

LYRICS:
din aa gaye sabaab ke aaNchal sambhaaliye
hone lagi hai shehar meiN halchal sambhaaliye

chaliye sambhal sambhal ke kaThin rah-e-ishq hai
naazuk baDi hai aapKi paayal sambhaaliye

saj dhaj ke aap nikle sare raah khair ho
Takra na jaaye aapka paagal sambhaaliye

ghar se naa jaaO door kisi ajnabi ke saath
barseNge jor-jor se baadal sambhaaliye

Kaanton Ki Chubhan Payee

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Kaanton Ki Chuban Payee

LYRICS:
kaanTon ki chubhan paayee phoolon ka maza bhi
dil dard ke mausam meiN roya bhi hasa bhi

aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai
wo dil meiN raha aur use toD gaya bhi

har ek se manzil ka pata pooch raha hai
gumraah mere saath hua raahnuma bhi

'gumnaam' kabhi apnO se jo gam huye haasil
kuch yaad rahe unme to kuch bhool gaya bhi

Sunday, July 26, 2009

Mujhe Gussa Dikhaya Jaa

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Mujhe Gussa Dikhaya Jaa Raha Hai

LYRICS:
muJhe gusaa dikhaaya jaa raha hai
tabassum ko dabaaya jaa raha hai

wahaN tak aabroo jaBt-e-gham hai
jahaN tak mushkuraaya jaa raha hai

do aalam maiNe chODe jiske khaatir
wahi daaman chuDaaya jaa raha hai

kareeb aane meiN hai ujko takalluF
wahiN se mushkuraaya jaa raha hai

Nazar Nazar Se Mila Kar Sharab

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Nazar Nazar Se Mila Kar Sharab

LYRICS:
nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN
hum unko paas biThakar sharaab peete haiN

isi liye to andhera hai maikade meiN bahut
yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN

hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata
tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN

unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar
jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN

Aap Ko Dekh Kar Dekhta Reh Gaya

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Aap Ko Dekh Kar Dekhta Reh Gaya

LYRICS:
aapko dekhkar dekhta reh gaya
kya kahooN aur kehne ko kya reh gaya

unkee aaNkhoN meiN kaise chalakne laga
mere hoNThoN pe jo maajra reh gaya

aise bichDe sabhi raah ke moD par
aakhri hum-safar raasta reh gaya

soch kar aaO kuye tamanna hai ye
jaaneman jo yahaN reh gaya reh gaya

Saturday, July 25, 2009

Aake Sajjada Nashin

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Aake Sajjada Nashin

Bhooli Bisri Chand

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Bhooli Bisri Chand

Ghazab Kia Tere Wadeh

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Ghazab Kia Tere Wadeh

Jal Bhi Chuke Parwane

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Jal Bhi Chuke Parwane

Thursday, July 23, 2009

Naqsh Khayaal Dil Se

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Naqsh Khayaal Dil Se

Roshan Jamal-e-Yaar

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Roshan Jamal-e-Yaar

Thake Thake Se Thy

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Thake Thake Se Thy

Monday, July 20, 2009

Wo Ban Sanwar Kar

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Wo Ban Sanwar Kar Chale Hain

LYRICS:
woh ban sanvar ke chale hain ghar se
hain khoye khoye se bekhabar se
dupattaa dhalkaa huaa hai sar se
khudaa bachaaye buri nazar se

kabhi jawani ki bekhudi mein
jo ghar se baahar kadam nikaalo
sunahare gaalon pe meri maano
tum ek kaala sa til sajaa lo
badan ka sonaa churaa le saara
koi nazar uth ke kab kidhar se

ye narm-o-naazuk haseen se lab
ke jaise do phuul ho kanval ke
ye gore mukhade pe laal rangat
ke jaise holi ka rang chhalake
sambhaalo in lambi chotiyon ko
lipat na jaaye kahi kamar se

ye shahar pattharon ka shahar thehra
kahaan milegi yahaan mohabbat
ye sheeshe jaisaa badan tumhara
meri duaa hai rahe salaamat
tumhaare sapnon ki nanhi kaliyaa
bachi rahen dhuup ke asar se

Tod Kar Har Qasam Aapke Sheher

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Tod Kar Har Qasam Aapke Sheher

Muhabbat Na Samjh Hoti Hai

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


Download: Muhabbat Na Samjh Hoti Hai

Jab Dil Behl Na Paye To Thodi

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Jab Dil Behl Na Paye To Thodi

Sunday, July 19, 2009

Tum Bin Bada Udaas Raha

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Tum Bin Bada Udaas Raha

Kitni Bholi Kitni Sunder Kaisi

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Kitni Bholi Kitni Sunder Kaisi

Ghungharuon Ki Khanak Bhi Ubhar

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Ghungharuon Ki Khanak Bhi Ubhar

Kyun Na Mehke Ghulab Aakhon

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Kyun Na Mehke Ghulab Aakhon

Monday, July 13, 2009

Chithi Na Koi Sandes



To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Chithi Na Koi Sandes

LYRICS:
Chithi Na Koi Sandesh Hoo, Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh Jahan Tum Chale Gaye
Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh Jahan Tum Chale Gaye
Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh Jahan Tum Chale Gaye Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes Jaane Woh Kaun Sa Desh Jahan Tum Chale Gaye...

Ek Aah Bharee Hogi Humne Na Sunee Hogi
Jaate Jaate Tumne Aawaz To Di Hogi
Har Waqt Yehi Hai Gham Us Waqt Kahan The Hum
Kahan Tum Chale Gaye

Chithi Na Koi Sandesh Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

Har Cheez Pe Ashkoon Se Likha Hai Tumhara Naam
Ye Raste Ghar Galiyaan Tumhe Kar Na Sakee Salaam
Hai Dil Mein Reh Gayee Baat Jaldi Se Chuda Kar Haath
Kahan Tum Chale Gaye

Chithi Na Koi Sandesh Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

Abh Yaadon Ke Kaante Is Dil Mein Chubhte Hain
Na Dard Theherta Hai Na Aansoon Rukte Hain
Tumhe Dhoondh Raha Hai Pyaar Hum Kaise Karein Iqraar
Ke Haan Tum Chale Gaye

Chithi Na Koi Sandesh Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...
O Kahan Tum Chale Gaye
O Kahan Tum Chale Gaye
O Kahan Tum Chale Gaye...

Dard Apnata Hai

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Dard Apnata Hai

LYRICS:
dard apnaata hai paraaye kaun
kaun sunta hai aur sunaaye kaun

kaun dohraaye puraani bateN
gham abhi soya hai jagaaye kaun

wo jo apne haiN, kya wo apne haiN
aur dukh Jhele, aazmaaYeN kaun

ab sukooN hai to bhoolne meiN hai
lekin us shakhs ko bhulaaye kaun

aaj fir dil hai kuch udaas-udaas
dekhiye aaj yaad aaye kaun

Dard Ke Phool Bhi

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Dard Ke Phool Bhi

LYRICS:
dard ke phool bhi bikhar jaate haiN
zakhm kaise bhi ho bhar jaate haiN

jab dareeche meiN bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhukaaye huye chupchaap guzar jaateN hain

raasta roke khaDi hai yahi ulJhan kabse
koi pooche to keheN kya ki kidhar jaate haiN

naram awaaz, bhali baateN muhazzaB lehze
pehli barish meiN hi ye rang utar jaate haiN

Jaate Jaate Wo Mujhe

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Jaate Jaate Wo Mujhe

LYRICS:
jaate jaate wo muJhe achchhi nishaani de gaya
uMr bhar dohraoonga aisi kahaani de gaya

uss se maiN kuch paa sakooN aisi kahan ummeed thi
gham bhi shaayad wo baraaye meharbaani de gaya

sab hawaaeN le gaya mere samander ki koi
aur muJhko ek kashti baadbaani de gaya

khaiR maiN pyaasa raha, par usne itna to kiya
mere palkoN ki kataroN ko wo paani de gaya

Tuesday, July 7, 2009

Kabhi Yun Bhi Ho

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Kabhi Yun Bhi Ho

LYRICS:
dariya ka saahil ho, poore chaand ki raat ho
aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

pariyoN ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

ye naram mulaayam thanDi hawaayeN, jab ghar se tumhaare guzre
tumhari khushboo churaayeN, mere ghar le aayen, kabhi yooN bhi to ho

sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

ye baadal aise TooT ke barse, mere dil ki tarah milne ko,
tumhara dil bhi tarse, tum niklo ghar se, kabhi yooN bhi to ho

tanhaai ho dil do, boonde hoN barsaat ho aur tum aaO

Main Bhool Jaun

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Main Bhool Jaun

LYRICS:
maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN

ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'

bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN
wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin

wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN

muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye

tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN

Mere Dil Ne Kaha

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Mere Dil Ne Kaha

LYRICS:
mere dil ne kaha, ae diwaane bata
jab se koi mila, tu hai khoya huwa,
ye kahani hai kya, hai ye kyaa silsila, ae diwaane bata

maine dil se kaha, ae diwaane bata
dhaDkano meiN chupi, kaisi awaz hai
kaisa ye geet hai kaisa ye saaz hai,
kaisi ye baat hai, kaisa ye raaza hai, ae diwaane bata

mere dil ne kaha , jab se koi mila
chaand taare fizaaN, phool bhaNwaare hawa
ye haNsi waadiyaaN, neela ye aasmaaN
sab hai jaise naya, mere dil ne kaha
maine dil se kaha, muJhko ye to bata,
jo hai tuJhko mila, usme kyaa baat hai
kya hai jaadoogari, kaun hai wo pari, ae diwaane bata

na wo koi pari, na koi mehJabiN
na wo duniya meiN sabse hai zyaada haseeN,
bholibhaali si hai, seedhi saadhi si hai,
lekin usme adaa ek niraali si hai
uske bin mera jeena hi bekaar hai,
maine dil se kaha, baat itni si hai,
ki tuJhe pyaar hai mere dil ne kaha muJhko ikraar hai,
haaN muJhe pyaar hai

Sunday, July 5, 2009

Mujhko Yakeen Hai

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Mujhko Yakeen Hai

LYRICS:
muJhko yakeeN hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi
jab mere bachpan ke dine the, chaand meiN pariyaan rehti thee

ek ye din jab apnoN ne bhi humse jnaata toD liya
ek wo din jab ped ki shaakheN boJh hamara sehti thee

ek ye din jab saari saDkeN ruThi ruThi lagti haiN
ek wo din jab aaO khele saari galiyaN kehti thee

ek ye din jab jaagi raateN diwaaroN ko takti hain
ek wo din jab shaamoN ko bhi palkeN boJhal rehti thee

ek ye din jab laakhoN gham aur kaal pada hai aaNsoon ka
ek wo din jab ek zara sa baat pe nadiyaaN behti thee

Sach Ye Hai Bekaar

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Sach Ye Hai Bekaar Humein

LYRICS:
sach ye hai bekaar meiN gham hota hai
jo chaaha tha duniya meiN kam hota hai

Dhalta suraj faila jangal rasta gum
humse puchO kaisa aalam hota hai

gairOn ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hota hai koi hamdum hota hai

zakhm to humne in aankhoN se dekheN haiN
logoN se sunte haiN marham hota hai

zehan ki shaakhoN par ashaar aa jaateN haiN
jab teri yaadOn ka mausam hota hai

Tera Chehra Kitna Suhana

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Tera Chehra Kitna Suhana

Saturday, July 4, 2009

Dard Se Mera Daaman - Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Dard Se Mera Daaman - Lata

LYRICS:
dard se mera daaman bharde ya allah
phir chahe deewana karde ya allah

maine tuJh se chaand sitaare kab maange
roshan dil bedaar nazar de ya allah

suraj si ek cheez to hum sab dekh chuke
sachmuch ki ab koi saher de ya allah

ya dharti ke zakhmon par marham rakhde
ya mera dil patthar kar de ya allah

Tujhse Milne Ki - Jagjit Singh

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Tujhse Milne Ki - Jagjit Singh

LYRICS:
tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log
ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log

kya khabar thi tere milne pe qayamat hogi
muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log

teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya
muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log

kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar
aur kya iske siwa denge tere shehar ke log

Gham Ka Khazana - Jagjit Singh & Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Gham Ka Khazana - Jagjit Singh & Lata

LYRICS:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
ye nazraana tera bhi hai mera bhi

apne gham ko geet bana kar gaa lena
raag purana tera bhi hai mera bhi

tu muJhko aur maiN tuJhko samJhaaooN kya
dil deewana tera bhi hai mera bhi

shehar meiN galiYoN galiYoN jiska charcha hai
wo afsaana tera bhi hai mera bhi

maikhaane kee baat na kar waaiz muJhse
aana-jaana tera bhi hai mera bhi

Friday, July 3, 2009

Dil Mein Ab - Jagjit Singh

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Dil Mein Ab Dard-e-Mohabbat - Jagjit Singh

LYRICS:
dil meiN ab dard-e-mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN
zindagi meri ibaadat ke siva kuch bhi nahiN

maiN teri baargah-e-naaz mein kya pesh karoon
meri Jholi meiN mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN

aye khuda muJh se na le mere gunaahoN ka hisaab
mere paas ashq-e-nadamat ke siwa kuch bhi nahiN

woh to miT kar muJhe mil hi gayee rahat waRna
zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch bhi nahiN

Har Taraf Har Jagah - Jagjit Singh & Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Har Taraf Har Jagah - Jagjit Singh & Lata

LYRICS:
har taraf har jagah beshumaar aadmee
phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmee

subah se shaam tak bojh Dhotaa hua
apanee hi laash ka khud mazaaR aadmee

har taraf bhaagate dauDate raaste
har taraf aadmee ka shikaar aadmee

roz jeetaa huA roz martaa hua
har naye din nayaa intezaar aadmee

zindagee kA muqaddar safar dar safar
aakhree saaNs tak beqaraar aadmee

Aankh Se Door Na Ho - Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Aankh Se Door Na Ho - Lata

LYRICS:
aankh se door na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega

itna mayoos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega

tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega

zindagi teri ata hai to yeh jaane wala
teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega

Wednesday, July 1, 2009

Tere Jalwe Ab Mujhe - Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Tere Jalwe Ab Mujhe - Lata

LYRICS:
tere jalwe ab muJhe harsoo nazar aane lage
kaash yeh bhi ho ke muJh meiN tu nazar aane lage

ibteda yeh thee ke dekhee thee khushi ki ek Jhalak
inteha yeh hai ke gham harsoo nazar aane lage

beqarari baDhte baDhte dil ki fitrat ban gayee
shayed ab taskeen ka pehloo nazar aane lage

khatM karde ae "Saba" ab shaam-e-gham ki daastaN
dekh un aankhoN meiN bhee ansoo nazar aane lage

Mili Hawaon Mein Udne - Jagjit Singh & Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Mili Hawaon Mein Udne - Jagjit Singh & Lata

LYRICS:
mili hawaoN meiN uDne ki wo saza yaaro
ke maiN zameen ke risHton se kat gaya yaaro

woh be-khayal musafir maiN raasta yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro

mere kalam pe zamane kee gard aisee thee
ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro

tamaam sheher hi jiskee talaash mein gum tha
maiN uske ghar ka pata kis'se poochta yaaro

Dhooaan Bana Ke Fiza Mein - Lata

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Dhooaan Bana Ke Fiza Mein - Lata

LYRICS:
dhooaaN banake fizaaN meiN udaa diyaa muJhko
maiN jal raha tha kisi ne buJha diya muJhko

khaDa hooN aaj bhi roTi ke chaar haRf liye
sawaal ye hai kitaaboN ne kya diya muJhko

safed sang kee chaadar lapeT kar muJhpar
faseene shehar se kisi ne saja diya muJhko

maiN ek zarra bulandi ko choone nikla thaa
hawa ne tham ke zameeN par gira diya muJhko