Showing posts with label Lyrics Of Mehdi Hassan Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Lyrics Of Mehdi Hassan Ghazals. Show all posts

Tuesday, December 15, 2009

Tere Bheege Badan Ki Khushboo Se

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


Download Tere Bheege Badan Ki Khushboo Se

LYRICS:
tere bheege badan ki khushboo se
lehre bhi huyee mastaani si
teri zulf ko chhookar aaj huyee
khaamosh hawa diwaani si

ye roop ka kundan dehka hua
ye zism ka chandan mehka hua
ilzaam na dena fir muJhko
ho jaaye agar naadani si

bikhra hua kaajal aankhoN meiN
toofaan ki halchal saansoN meiN
ye narM laboN ki khamoshi
palko meiN chhupi hairaani si

Monday, December 7, 2009

Sulag Raha Hoon Baadalon

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


Download Sulag Raha Hoon Baadalon

LYRICS:
bhadak rahi hai aag si hawaaoN meiN
sulag raha hooN baadaloN ke chaaoN meiN
bahaar muJh se chin gayi muJhe bahaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaar chaahiye

kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
main lut gaya hoon dil ki baat maanke
na muJhko chaahiye wafa na muJhko pyaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaar chaahiye

na jaane kab ye dil ka dard jaayega
rahoonga hosh meiN to gham sataayega
mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaar chaahiye

tadap na mere dil kisi ki aas meiN
hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas meiN
tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaar chaahiye

Saturday, December 5, 2009

Zinda Rahein Toh Kis

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


Download Zinda Rahein Toh Kis

LYRICS:
zinda rahein toh kis ki khaatir
hosh mein aaye kis ke liye
jaane wale aa nai sakte
shamme jalayein kis ke liye

rokte kyun ho jaam mein bharke
khoon jigar ka peene do
ye toh batao barbadi se
khud ko bachayein kis ke liye

jis ke liye maangi thi duaein
jab woh he hamse rooth gaya
ab sajde mein gir ke yaaron
maange duaein kis ke liye

Thursday, December 3, 2009

Kyun Poochhte Ho Kya

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


Download Kyun Poochhte Ho Kya

LYRICS:
Kyun poochte ho kya tum se kahun
main kis liye jeeta hun
shayad keh kabhi mil jaao kahin
main is liye jeeta hun

Kyun poochte ho kya tum se kahun
main kis liye jeeta hun
shayad keh kabhi mil jaao kahin
main is liye jeeta hun

jeeney ka mujhe kuch shauk nahin
jeeney ka muje kuch shauk nahin
bus waqt guzara karta hun
kuch dair ulajh kar yaaadon mein
duniya se kinara karta hun
marta bhi usi ki khatir hun
main jis liye jeeta hun
shayad keh kabhi mil jaao kahin
main is liye jeeta hun

main hun ke sulagta rehta hun
main hun ke sulagta rehta hun
bujhta bhi nahin jalta bhi nahin
dil hai keh tadapta rehta hai
rukta bhi nahi chalta bhi nahin
jeeny ki tamanna mit bhi chuki
phir kis liye jeeta hun
shayad keh kabhi mil jaao kahin
main is liye jeeta hun

Kyun poochte ho kya tum se kahun
main kis liye jeeta hun
shayad keh kabhi mil jaao kahin
main is liye jeeta hun

Wednesday, December 2, 2009

Hamare Dil Se Mat

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


Download Hamare Dil Se Mat

LYRICS:
Hamaare Dil Se Mat Khelo Khilona Toot Jayega
Zarasi thes Pahunchegi Yeh Sheesha Toot Jayega

Yahan Ke Log Toh Do gaam Chalke Chood dete Hain
Zarasi Dair Mein Barsoon Ke Rishte tod dete Hain
Khabar Kya Thi Ki Kismat Ka sitaara Toot Jayega

Jo Milte Hain Bazahir Dost Bankar Raazdaan Bankar
Chhupe Rehte Hai Unki Aasteeno mein Kai Khanjar
Khulegi Aankh Toh Sapna Suhana Toot Jayega

Khabar Kya thi Chhupi Hai Mere Daaman Mein Bhi Chingaari
Lagegi Aag Gulshan Mein Jaleegi sari Phulwaari
Giregi Bijliyan Itni Nazaara Toot Jayega

Sunday, June 7, 2009

Zindagi Mein Toh Sabhi

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Zindagi Mein Toh Sabhi

LYRICS:
zindagi mein toh sabhi pyaar kiya karte hain
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga

Tu mila hai to ehsaas hua hai mujhko
ye meri umra mohabbat ke liye thodi hai
ik zara saa ghame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaaoonga qurbaan tujhe chaoonga
main toh mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga

Apne jazbaat mein nagmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karoon
maine kimsat ki lakiron se churaaya hai tujhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahoonga
main toh mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga

Yun Zindagi Ki Rah Mein

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Yun Zindagi Ki Rah Mein

LYRICS:
yun zindagi ki raah mein takra gaya koi
ik roshni andheron mein bikhra gaya koi

Woh haadsa woh pehli mulaakat kya kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
woh kehar woh gazab who jafa mujko yaad hai
woh uski berukhi ki adaa mujhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yun chhaa gaya koi
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

Pehle mujhe woh dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseen khayalon mein kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere tadapne ka andaaz bhaa gaya
saanson se bhi kareeb mere aa gaya koi
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

yoon usne pyaar se meri baahon ko chhoo liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
ik pal mein dil pe kaise qayamat guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

Ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

Ranjish He Sahi

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Ranjish He Sahi

LYRICS:
Ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa fir se mujhe chod ke jaane ke liye aa

Pehle se maraasim na sahee fir bhi kabhi toh
rasmo rahe duniya hi nibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai toh zamaane ke liye aa

Ab tak dil-e-khush seham ko tujh se hain ummeedein
ye aakhri shamme bhi bujhaane ke liye aa

Rafta Rafta Woh Meri

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Rafta Rafta Woh Meri

LYRICS:
Rafta rafta wo meri hasti ka saamaan ho gaye
pehle jaan fir jaane jaan fir jaane jaana ho gaye

Din badin badhti gayi is husn ki raanayeeyaan
pehle gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye

Aap toh nazdeek se nazdeek tak aate gaye
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaan ho gaye

Pyaar jab hadd se badha saare takalluf mit gaye
aap se fir tum huye fir tu ka unwaan ho gaye

Saturday, April 4, 2009

Duniya Kisi Ke Pyar

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Duniya Kisi Ke Pyar

LYRICS:
Duniya kisi ke pyaar mein jaanat se kam nahin
ik dilruba hai dil mein jo gooron se kam nahin

Tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
jalwe tumhare husn ke taaron se kam nahin
duniya kisi ke pyaar mein jaanat se kam nahin

Bhoole se muskuraaO to moti baras pade
palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has pade
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar mein jaanat se kam nahin

Friday, April 3, 2009

Ab Ke Hum Bichhde

To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.


DOWNLOAD: Ab Ke Hum Bichhde

LYRICS:
Ab ke hum bichde toh shaayad kabhi khwaabon mein mile
jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile

Dhoond ujade huye logon mein wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile

Tu khuda hai na mera ishq fariston jaisa
dono insaan hain toh inum itne hijaabon mein mile

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha behta hai sharaabon mein toh sharabon mein mile

Ab labon mein hoon na tu hai na wo maaji hai faraaq
jaise do saaye tamaana ke saraabon mein mile