To Download the Ghazal below:
Right click on the Download link and select "save target as" to download.
DOWNLOAD: Woh Khat Ke Purze Uda
LYRICS:
woh khaT ke purze uDa raha tha
hawavon ka roop dikha raha tha
kuch aur bhi ho gaya numaayaN
main apna likha mita raha tha
usi ka eemaan badal gaya hai
kabhi jo mera khuda raha tha
wo ek din ek ajnabi ko
meri kahani suna raha tha
wo umR kam kar raha tha meri
maiN saal apne baDha raha tha
Friday, April 24, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment